nazm
ḳhushī chhūtī nahīñ
dukh bastā hai
man musāfir hai
jaane kin zamānoñ kī
tarāvat khojne
har pal safar meñ rahtā hai
banjar sar-zamīnoñ meñ
ḳhunuk chashmoñ ke
ḳhvāb bo detā hai
ta.abīreñ phūTtī nahiñ
dukh ug jaatā hai
dukh jab ugne lagtā hai
man kī saarī namī
le letā hai
ā.ankhoñ kī namī aur ḳhvāb
donoñ suukh jaate haiñ
aur dukh
bas jaatā hai
KHushi chhuti nahin
dukh basta hai
man musafir hai
jaane kin zamanon ki
tarawat khojne
har pal safar mein rahta hai
banjar sar-zaminon mein
KHunuk chashmon ke
KHwab bo deta hai
tabiren phuTti nahin
dukh ug jata hai
dukh jab ugne lagta hai
man ki sari nami
le leta hai
aaankhon ki nami aur KHwab
donon sukh jate hain
aur dukh
bas jata hai
- Book : Catharsis (Pg. 76)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Istiarah Publications, New Delhi (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.