nazm
aks
dil meñ kaisā hai
kis kā hai intizār
barsoñ guzre
is saa.e meñ
raqsinda huuñ
rañg chehre kā
charāġh āñkhoñ ke
dhuñdle paḌ ga.e
koī ḳhudā
na ham-sāya-e-ḳhudā
har lamha
ik bār-e-garāñ
duur tak
sunsān rāsta
gard-ālūd
aks
dil mein kaisa hai
kis ka hai intizar
barson guzre
is sae mein
raqsinda hun
rang chehre ka
charagh aankhon ke
dhundle paD gae
koi KHuda
na ham-saya-e-KHuda
har lamha
ek bar-e-garan
dur tak
sunsan rasta
gard-alud
- Book : Man Baani (Pg. 282)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.