nazm
vo logoñ ko rotā dekh kar
hañs paḌtī hai
aur jab
use hañsnā hotā hai
kisī ko bhī rulā detī hai
aaj us ne
mujhe rulā diyā
jab merī āñkheñ
rote rote suuj ga.iiñ
to kahne lagī
ab maiñ jī uThī huuñ
taaza ho ga.ī huuñ
maiñ laraz ga.ī
allāh tere bande
kaisī kaisī ġhizā lete haiñ
ḳhud ko zinda rakhne ke liye
wo logon ko rota dekh kar
hans paDti hai
aur jab
use hansna hota hai
kisi ko bhi rula deti hai
aaj us ne
mujhe rula diya
jab meri aankhen
rote rote suj gain
to kahne lagi
ab main ji uThi hun
taza ho gai hun
main laraz gai
allah tere bande
kaisi kaisi ghiza lete hain
KHud ko zinda rakhne ke liye
- Book : Man Baani (Pg. 84)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.