nazm
gāñdhī-peas-foundation ke
ūñchī chhat vaale kamre meñ paḌī
soch rahī thī
maiñ kal iid kaise manā.ūñgī?
ki zamīn phaT ga.ī
bhauñchāl itnā tez thā
maiñ bed se gir kar farsh pe aa.ī
bilkul vaise hī
jaise pichhlī chāñd raat ko tum ne
mere hāthoñ meñ
chūḌiyāñ chaḌhāte hue
mujhe farsh pe girāyā thā
phir iid ke din bhī tum ne jhuuT bolā thā
aur tumhāre jhuuT bolne par
sach kī zabān zab.h kar ke
maiñ ne jo qurbānī dī thī
kyā iid manāne ke liye kaafī nahīñ
ye sochte hue
ūñchī chhat vaale kamre meñ
chāñd raat guzar ga.ī
gandhi-peas-foundation ke
unchi chhat wale kamre mein paDi
soch rahi thi
main kal id kaise manaungi?
ki zamin phaT gai
bhaunchaal itna tez tha
main bed se gir kar farsh pe aai
bilkul waise hi
jaise pichhli chand raat ko tum ne
mere hathon mein
chuDiyan chaDhate hue
mujhe farsh pe giraya tha
phir id ke din bhi tum ne jhuT bola tha
aur tumhaare jhuT bolne par
sach ki zaban zabh kar ke
main ne jo qurbani di thi
kya id manane ke liye kafi nahin
ye sochte hue
unchi chhat wale kamre mein
chand raat guzar gai
- Book : Man Baani (Pg. 168)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.