nazm
kahīñ maiñ
andhī to nahīñ
vo sab
kahāñ haiñ
qāfila
manzil
phir chalte chalte
ek muddat bhī to huī
ab
sūraj bhī
Dūbne ko hogā
kahīñ koī peḌ bhī nahīñ
jis kī chhāñv meñ
mutma.in baiTh jaatī
faqat
ek sunsān rāsta
aur
maiñ
yā allāh kuchh nahīñ to
ek
darāḌ mile
jahāñ maiñ chhup jā.ūñ
aur bas
kahin main
andhi to nahin
wo sab
kahan hain
qafila
manzil
phir chalte chalte
ek muddat bhi to hui
ab
suraj bhi
Dubne ko hoga
kahin koi peD bhi nahin
jis ki chhanw mein
mutmain baiTh jati
faqat
ek sunsan rasta
aur
main
ya allah kuchh nahin to
ek
daraD mile
jahan main chhup jaun
aur bas
- Book : Man Baani (Pg. 308)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.