nazm
aglī phone-call pe
vo tamām charāġh
bujh jaate haiñ
jo maiñ
pahlī phone-call ke ba.ad
jalātī huuñ!
charāġh jalāte jalāte
maiñ
apnī uñgliyāñ bhī
jalā letī huuñ
merī uñgliyāñ jhulasne kā indirāj
tum apnī
kaun sī file meñ rakh rahe ho
agli phone-call pe
wo tamam charagh
bujh jate hain
jo main
pahli phone-call ke baad
jalati hun!
charagh jalate jalate
main
apni ungliyan bhi
jala leti hun
meri ungliyan jhulasne ka indiraj
tum apni
kaun si file mein rakh rahe ho
- Book : Man Baani (Pg. 492)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.