nazm
tum baar baar
jiine kī ḳhātir
merī man kī miTTī meñ
maut kyuuñ buute ho?
jo miTTī taḳhlīq kā dukh
sahtī ho
bāñjh nahīñ hotī!
tum mujh se
aur kitnī nazmeñ likhvāoge?
zindagī
mujhe dastak dete dete
dam toḌ rahī hai
us ko jī lenā
sab kuchh sahne se
bahut āsān thā
baġhair taḌpe
sab kuchh sahnā
sab se mushkil hai
ḳhushī kā mar jaanā bhī
mushkil hai
dekho maiñ lafz tarāshte tarāshte
lafzoñ kī gard meñ
dafn ho rahī huuñ
maut bāñTte bāñTte
maiñ jī nahīñ saktī!
merā jīvan aur mushkil na karo
ki maiñ maut ko
jiinā shurūa kar duuñ
maut se pahle mar jaanā
bahut mushkil hai
tum bar bar
jine ki KHatir
meri man ki miTTi mein
maut kyun bute ho?
jo miTTi taKHliq ka dukh
sahti ho
banjh nahin hoti!
tum mujh se
aur kitni nazmen likhwaoge?
zindagi
mujhe dastak dete dete
dam toD rahi hai
us ko ji lena
sab kuchh sahne se
bahut aasan tha
baghair taDpe
sab kuchh sahna
sab se mushkil hai
KHushi ka mar jaana bhi
mushkil hai
dekho main lafz tarashte tarashte
lafzon ki gard mein
dafn ho rahi hun
maut banTte banTte
main ji nahin sakti!
mera jiwan aur mushkil na karo
ki main maut ko
jina shurua kar dun
maut se pahle mar jaana
bahut mushkil hai
- Book : Man Baani (Pg. 388)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.