nazm
ye maiñ tumheñ dekh rahī huuñ
yaa.....
ye mere ird-gird tumhārī parchhā.iyāñ haiñ
yaa.....
ye tum iqrār kī ret par merā naam likh rahe ho
yaa.....
ye tum chīnār ke sūkhe pattoñ se mere liye aag raushan kar rahe ho
ya.....
ye tum merī ā.ankhoñ ko ḳhvāb de rahe ho
yaa.....
suno, maiñ jis roz yaa..... ke ba.ad ke ḳhayāloñ ko
nazm karne ke qābil ho jā.ūñgī
ḳhud ko shā.er samajhne lagūñgī!
ye main tumhein dekh rahi hun
ya
ye mere ird-gird tumhaari parchhaiyan hain
ya
ye tum iqrar ki ret par mera nam likh rahe ho
ya
ye tum chinar ke sukhe patton se mere liye aag raushan kar rahe ho
ya
ye tum meri aaankhon ko KHwab de rahe ho
ya
suno, main jis roz ya ke baad ke KHayalon ko
nazm karne ke qabil ho jaungi
KHud ko shaer samajhne lagungi!
- Book : Man Baani (Pg. 76)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.