nazm
shahrī haiñ ham-vatan hai hindostāñ hamārā
hai ye zamīn hamārī ye āsmāñ hamārā
vedāñt bhī hamārā qur.ān bhī hamārā
allāh bhī hamārā bhagvān bhī hamārā
dīvālī aur dashahrā eid-uz-zuhā moharram
dañDī kī ye savārī aur ye nishāñ hamārā
ye pūjā-pāTh apnā roza-namāz apnī
iz.hār-e-aqīdat kā hai ye nishāñ hamārā
autār aur payambar haiñ pāsbāñ hamāre
sajde meñ sar-nigūñ hai hindostāñ hamārā
shahri hain ham-watan hai hindostan hamara
hai ye zamin hamari ye aasman hamara
wedant bhi hamara quran bhi hamara
allah bhi hamara bhagwan bhi hamara
diwali aur dashahra eid-uz-zuha moharram
danDi ki ye sawari aur ye nishan hamara
ye puja-paTh apna roza-namaz apni
izhaar-e-aqidat ka hai ye nishan hamara
autar aur payambar hain pasban hamare
sajde mein sar-nigun hai hindostan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.