nazm
soch rahī huuñ
bachpan kā ḳhush-rang zamāna biite
kitnī der huī hai
koī purānā naata dil se TuuTe
kitnī der huī hai
mujh ko apne aap se bichhḌe
kitnī der huī hai
lekin
ek khilaunoñ kī almārī
kuchh rangīn aur uljhe dhāge
sahan meñ bhīgtī nannhī chiḌiyā
nahr kināre ghaas kī narmī
aam ke peḌ kī ThanDī chhāyā
līmūñ ke paude kī ḳhushbū
āḳhir kab dāman chhoḌegī
soch rahi hun
bachpan ka KHush-rang zamana bite
kitni der hui hai
koi purana nata dil se TuTe
kitni der hui hai
mujh ko apne aap se bichhDe
kitni der hui hai
lekin
ek khilaunon ki almari
kuchh rangin aur uljhe dhage
sahan mein bhigti nannhi chiDiya
nahr kinare ghas ki narmi
aam ke peD ki ThanDi chhaya
limun ke paude ki KHushbu
aaKHir kab daman chhoDegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.