nazm
zindagī duur huī jaatī hai
aur kuchh mere qarīb aa jaao
jalva-e-husn ko kuchh aur ziyā-rez karo
apne siine se ubharne vaale
ātishīñ saañs kī lau tez karo
merī is pīri-e-darmāñdā kī
ḳhushk aur ḳhasta sī ḳhākistar afsurda meñ
soz-e-ġham ko sharar-añgez karo
yuuñ hī pal bhar hī sahī
mere qarīb aa jaao
zindagī duur huī jaatī hai
zindagi dur hui jati hai
aur kuchh mere qarib aa jao
jalwa-e-husn ko kuchh aur ziya-rez karo
apne sine se ubharne wale
aatishin sans ki lau tez karo
meri is piri-e-darmanda ki
KHushk aur KHasta si KHakistar afsurda mein
soz-e-gham ko sharar-angez karo
yun hi pal bhar hi sahi
mere qarib aa jao
zindagi dur hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.