nazm
tirī āñkhoñ ke kājal par
tire gul-barg aariz par
havā ke hoñT ne ulfat bharā bosa diyā hogā
tabhī ye rang nikhrā hai
tire chehre kī rangat se dhanak sī bantī jaatī hai
tirī chūḌī kī khan-khan meñ mohabbat kī sadā.eñ haiñ
yuuñ lagtā hai ki goyā ik parī-timsāl
yak-dam ik tasavvur ke
shabistāñ se nikal aa.ī
teri aankhon ke kajal par
tere gul-barg aariz par
hawa ke honT ne ulfat bhara bosa diya hoga
tabhi ye rang nikhra hai
tere chehre ki rangat se dhanak si banti jati hai
teri chuDi ki khan-khan mein mohabbat ki sadaen hain
yun lagta hai ki goya ek pari-timsal
yak-dam ek tasawwur ke
shabistan se nikal aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.