nazm
tirī talab kā sabab sirf ḳhālī-pan to nahīñ
ki tujh se rābta merā zarūratan to nahīñ
maiñ DhūñDhtā thā shajar āsmāñ ke hote hue
tire firāq meñ thā do jahāñ ke hote hue
jab āshnā thī mohabbat kī har galī mujh se
maiñ zindagī se bahut ḳhush thā zindagī mujh se
jab ehtirām kiyā kartī thī sabā merā
bahār khoj liyā kartī thī pata merā
jab āñsuoñ ko mayassar hazār shāne the
jab intizār na karne ke sau bahāne the
tirī umiid se dil be-qarār tab bhī thā
yaqīn kar ki tirā intizār tab bhī thā
teri talab ka sabab sirf KHali-pan to nahin
ki tujh se rabta mera zaruratan to nahin
main DhunDhta tha shajar aasman ke hote hue
tere firaq mein tha do jahan ke hote hue
jab aashna thi mohabbat ki har gali mujh se
main zindagi se bahut KHush tha zindagi mujh se
jab ehtiram kiya karti thi saba mera
bahaar khoj liya karti thi pata mera
jab aansuon ko mayassar hazar shane the
jab intizar na karne ke sau bahane the
teri umid se dil be-qarar tab bhi tha
yaqin kar ki tera intizar tab bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.