nazm
tum āñkheñ kholte ho
to titliyoñ ke par
mujhe chhū kar guzarte haiñ
kañval ke phuul
dil kī jhiil meñ halkore
lete haiñ
tumhāre bāzuoñ meñ
āsmāñ kī rif.ateñ
bisrām kartī haiñ
maiñ apne adh-khule ḳhvāboñ
ko reshmī āvāz detī huuñ
ḳhumār-ālūd mushk-bār nazmeñ
mere dar pe
dastak sī detī haiñ
tum aankhen kholte ho
to titliyon ke par
mujhe chhu kar guzarte hain
kanwal ke phul
dil ki jhil mein halkore
lete hain
tumhaare bazuon mein
aasman ki rifaten
bisram karti hain
main apne adh-khule KHwabon
ko reshmi aawaz deti hun
KHumar-alud mushk-bar nazmen
mere dar pe
dastak si deti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.