nazm
uḌ ga.e ik ek kar ke
rang saare
niile piile laal bhūre
sabz ujle aur gahre
uḌ ga.e ik ek kar ke rang saare
maiñ zamīñ par ab khaḌā huuñ
yā kisī pātāl meñ huuñ
kuchh nahīñ mā'lūm mujh ko
kho ga.ī bīnā.ī merī maiñ añdheroñ kī guphā meñ
gum huā huuñ
kuchh nahīñ mā'lūm mujh ko
kis se pūchhūñ
ab yahāñ par kaun hai jo mujh ko batlā.e
maiñ kyā huuñ
uD gae ek ek kar ke
rang sare
nile pile lal bhure
sabz ujle aur gahre
uD gae ek ek kar ke rang sare
main zamin par ab khaDa hun
ya kisi patal mein hun
kuchh nahin ma'lum mujh ko
kho gai binai meri main andheron ki gupha mein
gum hua hun
kuchh nahin ma'lum mujh ko
kis se puchhun
ab yahan par kaun hai jo mujh ko batlae
main kya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.