nazm
us kī galī meñ phir mujhe ik baar le chalo
majbūr kar ke mujh ko mire yaar le chalo
shāyad ye merā vahm ho merā ḳhayāl ho
mumkin hai mere baad use merā malāl ho
pachhtā rahā ho ab mujhe dar se uThā ke vo
baiThā ho merī raah meñ āñkheñ bichhā ke vo
us ne bhī to kiyā thā mujhe pyaar le chalo
ab us galī meñ koī na aa.egā mere baad
us dar pe kaun ḳhuun bahā.egā mere baad
maiñ ne to sang-o-ḳhisht se Takrā ke apnā sar
gulnār kar diye the lahū se vo bām-o-dar
phir muntazir haiñ vo dar-o-dīvār le chalo
vo jis ne mere siine ko zaḳhmoñ se bhar diyā
chhuḌvā ke apnā dar mujhe dar dar kā kar diyā
maanā ki us ke zulm-o-sitam se huuñ nīm-jāñ
phir bhī maiñ saḳht jaañ huuñ pahuñch jā.ūñgā vahāñ
sau baar jā.ūñgā mujhe sau baar le chalo
dīvāna kah ke logoñ ne har baat Taal dī
duniyā ne mere paañv meñ zanjīr Daal dī
chāho jo tum to merā muqaddar sañvār do
yaaro ye mere paañv kī beḌī utaar do
yā khīñchte hue sar-e-bāzār le chalo
us kī galī ko jāntā pahchāntā huuñ maiñ
vo merī qatl-gāh hai ye māntā huuñ maiñ
us kī galī meñ maut muqaddar kī baat hai
'shāhid' ye maut ahl-e-vafā kī hayāt hai
maiñ ḳhud bhī maut kā huuñ talabgār le chalo
us kī galī meñ phir mujhe ik baar le chalo
us ki gali mein phir mujhe ek bar le chalo
majbur kar ke mujh ko mere yar le chalo
shayad ye mera wahm ho mera KHayal ho
mumkin hai mere baad use mera malal ho
pachhta raha ho ab mujhe dar se uTha ke wo
baiTha ho meri rah mein aankhen bichha ke wo
us ne bhi to kiya tha mujhe pyar le chalo
ab us gali mein koi na aaega mere baad
us dar pe kaun KHun bahaega mere baad
main ne to sang-o-KHisht se Takra ke apna sar
gulnar kar diye the lahu se wo baam-o-dar
phir muntazir hain wo dar-o-diwar le chalo
wo jis ne mere sine ko zaKHmon se bhar diya
chhuDwa ke apna dar mujhe dar dar ka kar diya
mana ki us ke zulm-o-sitam se hun nim-jaan
phir bhi main saKHt jaan hun pahunch jaunga wahan
sau bar jaunga mujhe sau bar le chalo
diwana kah ke logon ne har baat Tal di
duniya ne mere panw mein zanjir Dal di
chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do
yaro ye mere panw ki beDi utar do
ya khinchte hue sar-e-bazar le chalo
us ki gali ko jaanta pahchanta hun main
wo meri qatl-gah hai ye manta hun main
us ki gali mein maut muqaddar ki baat hai
'shahid' ye maut ahl-e-wafa ki hayat hai
main KHud bhi maut ka hun talabgar le chalo
us ki gali mein phir mujhe ek bar le chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.