nazm
vo pahle se ḳharīdā jā chukā hai
jaan kar bhī
kisī ke ghar ko apnā maan lenā
usī dar par khaḌe rahnā ḳhamoshī se
ki shāyad ab khule vo ab khule
magar bāhar to taalā hai
vo ik taalā lagā ghar
bhalā kyā khul sakā hai dastakoñ se
use ham to ba-ḳhūbī jānte haiñ
yahī bas dil ko samjhānā hai mushkil
wo pahle se KHarida ja chuka hai
jaan kar bhi
kisi ke ghar ko apna man lena
usi dar par khaDe rahna KHamoshi se
ki shayad ab khule wo ab khule
magar bahar to tala hai
wo ek tala laga ghar
bhala kya khul saka hai dastakon se
use hum to ba-KHubi jaante hain
yahi bas dil ko samjhana hai mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.