nazm
vo samundar ke paar rahtā hai
aur dil be-qarār rahtā hai
us kī bāteñ jo yaad aatī haiñ
din Dhale tak hameñ satātī haiñ
rāt-bhar ik ḳhumār rahtā hai
vo samundar ke paar rahtā pai
shahar mātam-kunāñ hai tere baġhair
dasht bhī be-amāñ hai tere baġhair
har shajar sogvār rahtā hai
vo samundar ke paar rahtā hai
dostī ban ga.ī sazā jaise
aur ho aap kī atā jaise
har karam kā shumār rahtā hai
vo samundar ke paar rahtā hai
rāsta ik tavīl hasrat thī
tere aane kī dil meñ chāhat thī
manziloñ kā ġhubār rahtā hai
vo samundar ke paar rahtā hai
wo samundar ke par rahta hai
aur dil be-qarar rahta hai
us ki baaten jo yaad aati hain
din Dhale tak hamein satati hain
raat-bhar ek KHumar rahta hai
wo samundar ke par rahta pai
shahar matam-kunan hai tere baghair
dasht bhi be-aman hai tere baghair
har shajar sogwar rahta hai
wo samundar ke par rahta hai
dosti ban gai saza jaise
aur ho aap ki ata jaise
har karam ka shumar rahta hai
wo samundar ke par rahta hai
rasta ek tawil hasrat thi
tere aane ki dil mein chahat thi
manzilon ka ghubar rahta hai
wo samundar ke par rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.