nazm
ye haqīqat hai tumheñ yaad nahīñ maiñ lekin
ye haqīqat to nahīñ pyaar nahīñ thā mujh se
ab chalo maan liyā ye bhī haqīqat hī hai
kyā haqīqat se maiñ anjān rahā itne din
kaise anjān rahā kaise ḳhabar ho na sakī
be-ḳhabar ḳhud se thā yā tum ne gumāñ meñ rakhā
be-ḳhabar thā maiñ agar ḳhud se to āḳhir kyoñ thā
gar gumāñ meñ rakhā tum ne to rakhā kyoñ āḳhir
ḳhair chhoḌo ye gumāñ kā bhī safar achchhā thā
ḳhair chhoḌo jo kiyā tum ne bahut achchhā kiyā
ye haqiqat hai tumhein yaad nahin main lekin
ye haqiqat to nahin pyar nahin tha mujh se
ab chalo man liya ye bhi haqiqat hi hai
kya haqiqat se main anjaan raha itne din
kaise anjaan raha kaise KHabar ho na saki
be-KHabar KHud se tha ya tum ne guman mein rakha
be-KHabar tha main agar KHud se to aaKHir kyon tha
gar guman mein rakha tum ne to rakha kyon aaKHir
KHair chhoDo ye guman ka bhi safar achchha tha
KHair chhoDo jo kiya tum ne bahut achchha kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.