nazm
zindagī kho nahīñ ga.ī lekin
aisā lagtā hai dil ke paas bahut
ek be-nām sī udāsī hai
ek be-vaj.h sā añdherā hai
aag jaltī nazar nahīñ aatī
raat Dhaltī nazar nahīñ aatī
rah guzar hai magar tirī ḳhvāhish
raah chaltī nazar nahīñ aatī
zindagi kho nahin gai lekin
aisa lagta hai dil ke pas bahut
ek be-nam si udasi hai
ek be-wajh sa andhera hai
aag jalti nazar nahin aati
raat Dhalti nazar nahin aati
rah guzar hai magar teri KHwahish
rah chalti nazar nahin aati
- Book : saarii nazmen (Pg. 755)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.