nazm
shā.iroñ se Daro
ḳhvāboñ kā hand grenade hai un ke paas
agar ziyāda kuchh kahā to
dīvār pe de māreñge
agar chhīnñe kī koshish kī to paanī meñ Daal deñge
jo bhī hai un ke paas
tumheñ nahīñ lene deñge
agar bahut saare jam.a ho ke aaoge
to bhī
āsmān hai un ke paas
bādaloñ kā lashkar lā ke tumheñ Dubo deñge
zamīn hai un ke paas tumheñ
kahīñ jaane na deñge
kashtī hai un ke paas
tumheñ biThā ke le jā.eñge aur kisī
jazīre par chhoḌ deñge
chiḌiyoñ ke saath rahoge to sab kuchh bhuul jāoge
shā.iroñ kī shakl bhī aur apnī bhī
jab vo tumheñ vāpas lene ā.eñge
shāyad tum chiḌiyoñ ko aage kar doge
shairon se Daro
KHwabon ka hand grenade hai un ke pas
agar ziyaada kuchh kaha to
diwar pe de marenge
agar chhinne ki koshish ki to pani mein Dal denge
jo bhi hai un ke pas
tumhein nahin lene denge
agar bahut sare jama ho ke aaoge
to bhi
aasman hai un ke pas
baadalon ka lashkar la ke tumhein Dubo denge
zamin hai un ke pas tumhein
kahin jaane na denge
kashti hai un ke pas
tumhein biTha ke le jaenge aur kisi
jazire par chhoD denge
chiDiyon ke sath rahoge to sab kuchh bhul jaoge
shairon ki shakl bhi aur apni bhi
jab wo tumhein wapas lene aaenge
shayad tum chiDiyon ko aage kar doge
- Book : saarii nazmen (Pg. 526)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.