nazm
agar maiñ ye nazm na likhtā
to mohabbat nārāz ho jaatī
aur kahtī ki maiñ tumhāre saath
saḌak paar nahīñ karūñgī
chaa.e nahīñ piyūñgī aur daftar meñ
kaam nahīñ karūñgī
mohabbat kī nārāzgī
kisī jañg meñ hone vaale
nuqsān se ziyāda shadīd hotī hai
vo aur bhī kuchh kahtī
jo mujhe sunā.ī na detā
aur maiñ us ke naam ek ḳhat likhtā
agar maiñ vo ḳhat na likhtā to mere dost nārāz ho jaate
aur kahte ham itvār ke din tumhāre saath
cricket nahīñ kheleñge
aur un meñ se ek
railway-line paar karte hue ḳhud-kushī kar letā
aur hamāre laa.e hue phuul
apnī qabr pe rakhne se inkār kar detā
agar maiñ ḳhat na likhtā
agar maiñ nazm na likhtā
to zindagī apnā zā.iqa kis zabān pe mahsūs kartī
ḳhvāb kis rasm-ul-ḳhat meñ likhe jaate
maut ke rāste meñ
bichhā.ī jaane vaalī bārūdī surañg
kaun sī sar-zamīn pe tayyār hotī
panāh dene ke liye
hamesha kis mulk kī sarhadeñ khulī rahtīñ
dhamāke se phaT jaane ke liye
har baar kaun sā dil aage baḌhtā
agar main ye nazm na likhta
to mohabbat naraaz ho jati
aur kahti ki main tumhaare sath
saDak par nahin karungi
chae nahin piyungi aur daftar mein
kaam nahin karungi
mohabbat ki naraazgi
kisi jang mein hone wale
nuqsan se ziyaada shadid hoti hai
wo aur bhi kuchh kahti
jo mujhe sunai na deta
aur main us ke nam ek KHat likhta
agar main wo KHat na likhta to mere dost naraaz ho jate
aur kahte hum itwar ke din tumhaare sath
cricket nahin khelenge
aur un mein se ek
railway-line par karte hue KHud-kushi kar leta
aur hamare lae hue phul
apni qabr pe rakhne se inkar kar deta
agar main KHat na likhta
agar main nazm na likhta
to zindagi apna zaiqa kis zaban pe mahsus karti
KHwab kis rasm-ul-KHat mein likhe jate
maut ke raste mein
bichhai jaane wali barudi surang
kaun si sar-zamin pe tayyar hoti
panah dene ke liye
hamesha kis mulk ki sarhaden khuli rahtin
dhamake se phaT jaane ke liye
har bar kaun sa dil aage baDhta
- Book : saarii nazmen (Pg. 733)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.