nazm
railway-line station se
mere dil tak aatī hai
lekin train hamesha aa kar
ik pul par ruk jaatī hai
koī sitāra engine ban ke
chaltā rahtā hai
chāñd bhī ik chimnī ke nīche
chaltā rahtā hai
jaane kyuuñ phūloñ kā
rañg badaltā rahtā hai
sard havā meñ shabnam
pattoñ par lahrātī hai
chhupī huī ik chiḌiyā
maddham giit sunātī hai
railway-line station se
mere dil tak aati hai
lekin train hamesha aa kar
ek pul par ruk jati hai
koi sitara engine ban ke
chalta rahta hai
chand bhi ek chimni ke niche
chalta rahta hai
jaane kyun phulon ka
rang badalta rahta hai
sard hawa mein shabnam
patton par lahraati hai
chhupi hui ek chiDiya
maddham git sunati hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 787)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.