nazm
kisī din tez bārish meñ
agar ham bhiig jaa.eñ to
rag o pai meñ mohabbat ko
samo lenā zarūrī hai
kisī kī yaad meñ āñkheñ
bhigo lenā zarūrī hai
badan miTTī kī ḳhushbū meñ
Dubo lenā zarūrī hai
ghane resham kī Dorī meñ
piro lenā zarūrī hai
agar ye saarī bāteñ vaqt par
takmīl pā jaa.eñ
to phir bārish meñ
us ke saath
ho lenā zarūrī hai
kisi din tez barish mein
agar hum bhig jaen to
rag o pai mein mohabbat ko
samo lena zaruri hai
kisi ki yaad mein aankhen
bhigo lena zaruri hai
badan miTTi ki KHushbu mein
Dubo lena zaruri hai
ghane resham ki Dori mein
piro lena zaruri hai
agar ye sari baaten waqt par
takmil pa jaen
to phir barish mein
us ke sath
ho lena zaruri hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 780)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.