nazm
agar hukmarān shikār ke shauqīn hoñ
to sher ke shikār ke vaqt
hāñkne ke liye apnī re.āyā ko
be-dareġh istimāl kar sakte haiñ
aur hāthī mārne ke liye
chyūñTiyāñ apnī jeb se nikāl sakte haiñ
apne dushmanoñ ke rumāl kuttoñ ko suñghā sakte haiñ
soī huī murġhābiyāñ āsānī se pakaḌ sakte haiñ
bheḌiye paal sakte haiñ
aur malika ko rīchh ke havāle kar ke
itminān se shikār par jā sakte haiñ
agar hukmaran shikar ke shauqin hon
to sher ke shikar ke waqt
hankne ke liye apni reaya ko
be-daregh istimal kar sakte hain
aur hathi marne ke liye
chyunTiyan apni jeb se nikal sakte hain
apne dushmanon ke rumal kutton ko sungha sakte hain
soi hui murghabiyan aasani se pakaD sakte hain
bheDiye pal sakte hain
aur malika ko richh ke hawale kar ke
itminan se shikar par ja sakte hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 702)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.