nazm
mirī dost ab tum
jahāñ ho vahāñ par
na jaane havāoñ kī raftār kyā hai
sitāroñ se ābād
rastoñ meñ haa.il
ye bādal haiñ kaise
ye dīvār kyā hai
mohabbat hai āzād
lekin diloñ meñ
parindoñ kī tarah
giraftār kiyā hai
jahāñ ham haiñ shāyad
vahāñ roz-o-shab meñ
bas ik ḳhvāb hai
aur ufuq paar kiyā hai
meri dost ab tum
jahan ho wahan par
na jaane hawaon ki raftar kya hai
sitaron se aabaad
raston mein hail
ye baadal hain kaise
ye diwar kya hai
mohabbat hai aazad
lekin dilon mein
parindon ki tarah
giraftar kiya hai
jahan hum hain shayad
wahan roz-o-shab mein
bas ek KHwab hai
aur ufuq par kiya hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 513)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.