nazm
Interesting Fact
Dedicated to 'Syed Mohammad Ashraf'
bahār aane se pahle
shahr kā mausam badaltā hai
jahān-e-rañg-o-bū ke saath
kul aalam badaltā hai
dil-o-jāñ juz-ba-juz
yā sar-ba-sar tabdīl hote haiñ
musāfir rāste aur ham-safar
tabdīl hote haiñ
jahāñ ik ghar thā pahle
ab kisī kā ghar nahīñ hogā
bahār aane se pahle kā
koī manzar nahīñ hogā
bahaar aane se pahle
shahr ka mausam badalta hai
jahan-e-rang-o-bu ke sath
kul aalam badalta hai
dil-o-jaan juz-ba-juz
ya sar-ba-sar tabdil hote hain
musafir raste aur ham-safar
tabdil hote hain
jahan ek ghar tha pahle
ab kisi ka ghar nahin hoga
bahaar aane se pahle ka
koi manzar nahin hoga
- Book : saarii nazmen (Pg. 562)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.