nazm
chhoTī sī aurat
tārīk ghar meñ
yā rah-guzar meñ
kab se khaḌī hai
itne dinoñ se
ye apne man meñ
kyā hai chhupā.e
ye apne dukh sukh
kis ko batā.e
ye apnī bāteñ
kis ko sunā.e
āñkhoñ meñ is kī
aaj aur kal ke
sapne bhare haiñ
hāthoñ meñ is ke
jīvan hai sab kā
dekhe to koī
chhoTī sī aurat
saare jahāñ meñ
sab se baḌī hai
chhoTi si aurat
tarik ghar mein
ya rah-guzar mein
kab se khaDi hai
itne dinon se
ye apne man mein
kya hai chhupae
ye apne dukh sukh
kis ko batae
ye apni baaten
kis ko sunae
aankhon mein is ki
aaj aur kal ke
sapne bhare hain
hathon mein is ke
jiwan hai sab ka
dekhe to koi
chhoTi si aurat
sare jahan mein
sab se baDi hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 550)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.