nazm
tum kis soch meñ Duub ga.e ho
haath kā patthar paanī ke siine par maaro
choT to paanī ko aa.egī
paanī choT kī taab na lā kar
maujoñ kī sūrat meñ bahtā
sāhil sāhil sar paTkegā
phir ḳhud hī aslī hālat par aa jā.egā
tum kis soch meñ Duub ga.ī ho
haath kā patthar paanī ke siine par maaro
maiñ paanī huuñ
tum kis soch mein Dub gae ho
hath ka patthar pani ke sine par maro
choT to pani ko aaegi
pani choT ki tab na la kar
maujon ki surat mein bahta
sahil sahil sar paTkega
phir KHud hi asli haalat par aa jaega
tum kis soch mein Dub gai ho
hath ka patthar pani ke sine par maro
main pani hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.