nazr-e-aligaDh
Interesting Fact
Written in 1936 by Majaz and later, an abridged version was adopted by AMU as its tarana.
sarshār-e-nigāh-e-nargis huuñ pā-basta-e-gesu-e-sumbul huuñ
ye merā chaman hai merā chaman maiñ apne chaman kā bulbul huuñ
har aan yahāñ sahbā-e-kuhan ik sāġhar-e-nau meñ Dhaltī hai
kaliyoñ se husn Tapaktā hai phūloñ se javānī ubaltī hai
jo tāq-e-haram meñ raushan hai vo sham.a yahāñ bhī jaltī hai
is dasht ke goshe goshe se ik jū-e-hayāt ubaltī hai
islām ke is but-ḳhāne meñ asnām bhī haiñ aur aazar bhī
tahzīb ke is mai-ḳhāne meñ shamshīr bhī hai aur sāġhar bhī
yaañ husn kī barq chamaktī hai yaañ nuur kī bārish hotī hai
har aah yahāñ ik naġhma hai har ashk yahāñ ik motī hai
har shaam hai shām-e-misr yahāñ har shab hai shab-e-shīrāz yahāñ
hai saare jahāñ kā soz yahāñ aur saare jahāñ kā saaz yahāñ
ye dasht-e-junūñ dīvānoñ kā ye bazm-e-vafā parvānoñ kī
ye shahr-e-tarab rūmānoñ kā ye ḳhuld-e-barīñ armānoñ kī
fitrat ne sikhā.ī hai ham ko uftād yahāñ parvāz yahāñ
gaa.e haiñ vafā ke giit yahāñ chheḌā hai junūñ kā saaz yahāñ
is farsh se ham ne uḌ uḌ kar aflāk ke taare toḌe haiñ
nāhīd se kī hai sargoshī parvīn se rishte joḌe haiñ
is bazm meñ teġheñ khīñchī haiñ is bazm meñ sāġhar toḌe haiñ
is bazm meñ aañkh bichhā.ī hai is bazm meñ dil tak joḌe haiñ
is bazm meñ neze pheñke haiñ is bazm meñ ḳhanjar chūme haiñ
is bazm meñ gir kar taḌpe haiñ is bazm meñ pī kar jhūme haiñ
aa aa ke hazāroñ baar yahāñ ḳhud aag bhī ham ne lagā.ī hai
phir saare jahāñ ne dekhā hai ye aag hamīñ ne bujhā.ī hai
yaañ ham ne kamandeñ Daalī haiñ yaañ ham ne shab-ḳhūñ maare haiñ
yaañ ham ne qabā.eñ nochī haiñ yaañ ham ne taaj utāre haiñ
har aah hai ḳhud tāsīr yahāñ har ḳhvāb hai ḳhud tābīr yahāñ
tadbīr ke pā-e-sañgīñ par jhuk jaatī hai taqdīr yahāñ
zarrāt kā bosa lene ko sau baar jhukā ākāsh yahāñ
ḳhud aañkh se ham ne dekhī hai bātil kī shikast-e-fāsh yahāñ
is gul-kada-e-pārīna meñ phir aag bhaḌakne vaalī hai
phir abr garajne vaale haiñ phir barq kaḌakne vaalī hai
jo abr yahāñ se uTThegā vo saare jahāñ par barsegā
har jū-e-ravāñ par barsegā har koh-e-girāñ par barsegā
har sarv-o-saman par barsegā har dasht-o-daman par barsegā
ḳhud apne chaman par barsegā ġhairoñ ke chaman par barsegā
har shahr-e-tarab par garjegā har qasr-e-tarab par kaḌkegā
ye abr hamesha barsā hai ye abr hamesha barsegā
sarshaar-e-nigah-e-nargis hun pa-basta-e-gesu-e-sumbul hun
ye mera chaman hai mera chaman main apne chaman ka bulbul hun
har aan yahan sahba-e-kuhan ek saghar-e-nau mein Dhalti hai
kaliyon se husn Tapakta hai phulon se jawani ubalti hai
jo taq-e-haram mein raushan hai wo shama yahan bhi jalti hai
is dasht ke goshe goshe se ek ju-e-hayat ubalti hai
islam ke is but-KHane mein asnam bhi hain aur aazar bhi
tahzib ke is mai-KHane mein shamshir bhi hai aur saghar bhi
yan husn ki barq chamakti hai yan nur ki barish hoti hai
har aah yahan ek naghma hai har ashk yahan ek moti hai
har sham hai sham-e-misr yahan har shab hai shab-e-shiraaz yahan
hai sare jahan ka soz yahan aur sare jahan ka saz yahan
ye dasht-e-junun diwanon ka ye bazm-e-wafa parwanon ki
ye shahr-e-tarab rumanon ka ye KHuld-e-barin armanon ki
fitrat ne sikhai hai hum ko uftad yahan parwaz yahan
gae hain wafa ke git yahan chheDa hai junun ka saz yahan
is farsh se hum ne uD uD kar aflak ke tare toDe hain
nahid se ki hai sargoshi parwin se rishte joDe hain
is bazm mein teghen khinchi hain is bazm mein saghar toDe hain
is bazm mein aankh bichhai hai is bazm mein dil tak joDe hain
is bazm mein neze phenke hain is bazm mein KHanjar chume hain
is bazm mein gir kar taDpe hain is bazm mein pi kar jhume hain
aa aa ke hazaron bar yahan KHud aag bhi hum ne lagai hai
phir sare jahan ne dekha hai ye aag hamin ne bujhai hai
yan hum ne kamanden Dali hain yan hum ne shab-KHun mare hain
yan hum ne qabaen nochi hain yan hum ne taj utare hain
har aah hai KHud tasir yahan har KHwab hai KHud tabir yahan
tadbir ke pa-e-sangin par jhuk jati hai taqdir yahan
zarraat ka bosa lene ko sau bar jhuka aakash yahan
KHud aankh se hum ne dekhi hai baatil ki shikast-e-fash yahan
is gul-kada-e-parina mein phir aag bhaDakne wali hai
phir abr garajne wale hain phir barq kaDakne wali hai
jo abr yahan se uTThega wo sare jahan par barsega
har ju-e-rawan par barsega har koh-e-giran par barsega
har sarw-o-saman par barsega har dasht-o-daman par barsega
KHud apne chaman par barsega ghairon ke chaman par barsega
har shahr-e-tarab par garjega har qasr-e-tarab par kaDkega
ye abr hamesha barsa hai ye abr hamesha barsega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.