nazr-e-dil
apne dil ko donoñ aalam se uThā saktā huuñ maiñ
kyā samajhtī ho ki tum ko bhī bhulā saktā huuñ maiñ
kaun tum se chhīn saktā hai mujhe kyā vahm hai
ḳhud zuleḳhā se bhī to dāman bachā saktā huuñ maiñ
dil meñ tum paidā karo pahle mirī sī jur.ateñ
aur phir dekho ki tum ko kyā banā saktā huuñ maiñ
dafn kar saktā huuñ siine meñ tumhāre raaz ko
aur tum chāho to afsāna banā saktā huuñ meñ
meñ qasam khātā huuñ apne nutq ke e.ajāz kī
tum ko bazm-e-māh-o-anjum meñ biThā saktā huuñ maiñ
sar pe rakh saktā huuñ tāj-e-kishvar-e-nūrāniyāñ
mahfil-e-ḳhurshīd ko nīchā dikhā saktā huuñ maiñ
maiñ bahut sarkash huuñ lekin ik tumhāre vāste
dil bujhā saktā huuñ maiñ āñkheñ bachā saktā huuñ maiñ
tum agar rūTho to ik tum ko manāne ke liye
giit gā saktā huuñ maiñ aañsū bahā saktā huuñ maiñ
jazb hai dil meñ mire donoñ jahāñ kā soz-o-sāz
barbat-e-fitrat kā har naġhma sunā saktā huuñ maiñ
tum samajhtī ho ki haiñ parde bahut se darmiyāñ
maiñ ye kahtā huuñ ki har parda uThā saktā huuñ maiñ
tum ki ban saktī ho har mahfil meñ firdaus-e-nazar
mujh ko ye da.avā ki har mahfil pe chhā saktā huuñ maiñ
aao mil kar inqalāb-e-tāza-tar paidā kareñ
dahr par is tarah chhā jaa.eñ ki sab dekhā kareñ
apne dil ko donon aalam se uTha sakta hun main
kya samajhti ho ki tum ko bhi bhula sakta hun main
kaun tum se chhin sakta hai mujhe kya wahm hai
KHud zuleKHa se bhi to daman bacha sakta hun main
dil mein tum paida karo pahle meri si juraten
aur phir dekho ki tum ko kya bana sakta hun main
dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko
aur tum chaho to afsana bana sakta hun mein
mein qasam khata hun apne nutq ke eajaz ki
tum ko bazm-e-mah-o-anjum mein biTha sakta hun main
sar pe rakh sakta hun taj-e-kishwar-e-nuraniyan
mahfil-e-KHurshid ko nicha dikha sakta hun main
main bahut sarkash hun lekin ek tumhaare waste
dil bujha sakta hun main aankhen bacha sakta hun main
tum agar ruTho to ek tum ko manane ke liye
git ga sakta hun main aansu baha sakta hun main
jazb hai dil mein mere donon jahan ka soz-o-saz
barbat-e-fitrat ka har naghma suna sakta hun main
tum samajhti ho ki hain parde bahut se darmiyan
main ye kahta hun ki har parda uTha sakta hun main
tum ki ban sakti ho har mahfil mein firdaus-e-nazar
mujh ko ye dawa ki har mahfil pe chha sakta hun main
aao mil kar inqalab-e-taza-tar paida karen
dahr par is tarah chha jaen ki sab dekha karen
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.