nazr-e-firaq
ai dil-e-kāfir ijz se munkir aaj tirā sar ḳham kyuuñ hai
terī haTelī shiryānoñ meñ ye bebas mātam kyuuñ hai
aañkh to ronā bhuul ga.ī thī phir har manzar nam kyuuñ hai
mat roko bahne do aañsū kisī ko karte haiñ parnām
aap jhukā hai jhukne do sar chhupā thā us meñ koī salām
shāyad us ke huzūr meñ ho tum jis ko kahte haiñ anjām
vo hastī kī sarhad-e-āḳhir huā jahāñ har safar tamām
bebas hai insāñ bebas hai taktī rah ga.ī rotī shaam
uTh gayā koī bharī duniyā se baaqī rahe ḳhudā kā naam
yā phir kāġhaz par parchhā.īñ milegā jis ko sabt-e-davām
ye TukḌe insānī dil ke shā.er aur shā.er kā kalām
naaz karūñgī ḳhush-baḳhtī meñ maiñ ne 'firāq' ko dekhā thā
ujḌe ghar meñ vo tahzīboñ ke sañgam par baiThā thā
garm ham-āġhoshī sadiyoñ kī hogī kitnī pyaar bharī
jis kī bāñhoñ meñ khelī thī us kī soch kī sundartā
sher kā dil shaffāf thā itnā jaise ā.īna-e-tārīḳh
kyā bhar puur visāl thā jis ne us shā.er ko janm diyā
gar tārīḳh ne pāgal ho kar ḳhud apnā sar phoḌā hai
ḳhuun uchhālā hai galiyoñ meñ apnā hanDolā toḌā hai
chhīñT na thī dāman par us ke kaun ghaaT dho baiThā thā
jise samajhte ho nā-mumkin vo us insāñ jaisā thā
insāñ bhī itnā māmūlī jaise apnā ham-sāya
apne sher sunānā us kā aur ḳhud hairāñ ho jaanā
bātoñ meñ māsūm mahak thī āñkhoñ meñ bechain lapak
ḳhāmoshī ke vaqfe yuuñ jaise us ne kuchh dekhā thā
piiḌ bahut jhelī thī us ne itnī baat to zāhir thī
lahja meñ shoḳhī thī jaise raakh meñ chamke añgāra
sañgam ke paanī par maiñ ne dekhī thī kaisī tasvīr
uḌā lahak kar ik jal-panchhī khīñch gayā paanī pe lakīr
jamunā kī niilī gahrā.ī bhed bharī chup se bojhal
gañgā ke dhāre kī jumbish ujlī tāqat aur be-kal
is paanī meñ aks Dāltā āsmān kā ik TukḌā
miTTī ke but hare nāriyal chandan lagā koī mukhḌā
vo dhāroñ par naav khetā sūkhā panjar māñjhī kā
daan ke paise gintā panDit tāñba sūraj sāñjhī kā
jamunā par mīnār qila ke gumbad kā tirchhā saayā
pāksitān se aa.e muhājir geñde kī TuuTī maalā
paanī meñ chappū kī shap shap bātoñ ke TuuTe TukḌe
yahīñ kahīñ par ham se ojhal sarasvatī bhī bahtī hai
jo samjhī jo aage samjhūñ chhalak rahā hai dil kā jaam
vo manzar jo ḳhud se baḌā thā us kā gherā tumhāre naam
ye kamre kā maañd ujālā bāhar huuk papihe kī
khiḌkī par būñdoñ kī dastak sāñseñ bhartī ḳhāmoshī
puurī baat nahīñ batlātā gūñge aañsū ro denā
terī dhartī sah na sakegī itne husn ko kho denā
tanhā aur apāhij būḌhe tujhe na marne deñge log
abhī to jīvan bāñjh nahīñ hai phir tujh ko janmeñge log
ai dil-e-kafir ijz se munkir aaj tera sar KHam kyun hai
teri haTeli shiryanon mein ye bebas matam kyun hai
aankh to rona bhul gai thi phir har manzar nam kyun hai
mat roko bahne do aansu kisi ko karte hain parnam
aap jhuka hai jhukne do sar chhupa tha us mein koi salam
shayad us ke huzur mein ho tum jis ko kahte hain anjam
wo hasti ki sarhad-e-aKHir hua jahan har safar tamam
bebas hai insan bebas hai takti rah gai roti sham
uTh gaya koi bhari duniya se baqi rahe KHuda ka nam
ya phir kaghaz par parchhain milega jis ko sabt-e-dawam
ye TukDe insani dil ke shaer aur shaer ka kalam
naz karungi KHush-baKHti mein main ne 'firaq' ko dekha tha
ujDe ghar mein wo tahzibon ke sangam par baiTha tha
garm ham-aghoshi sadiyon ki hogi kitni pyar bhari
jis ki banhon mein kheli thi us ki soch ki sundarta
sher ka dil shaffaf tha itna jaise aaina-e-tariKH
kya bhar pur visal tha jis ne us shaer ko janm diya
gar tariKH ne pagal ho kar KHud apna sar phoDa hai
KHun uchhaala hai galiyon mein apna hanDola toDa hai
chhinT na thi daman par us ke kaun ghaT dho baiTha tha
jise samajhte ho na-mumkin wo us insan jaisa tha
insan bhi itna mamuli jaise apna ham-saya
apne sher sunana us ka aur KHud hairan ho jaana
baaton mein masum mahak thi aankhon mein bechain lapak
KHamoshi ke waqfe yun jaise us ne kuchh dekha tha
piD bahut jheli thi us ne itni baat to zahir thi
lahja mein shoKHi thi jaise rakh mein chamke angara
sangam ke pani par main ne dekhi thi kaisi taswir
uDa lahak kar ek jal-panchhi khinch gaya pani pe lakir
jamuna ki nili gahrai bhed bhari chup se bojhal
ganga ke dhaare ki jumbish ujli taqat aur be-kal
is pani mein aks Dalta aasman ka ek TukDa
miTTi ke but hare nariyal chandan laga koi mukhDa
wo dhaaron par naw kheta sukha panjar manjhi ka
dan ke paise ginta panDit tanba suraj sanjhi ka
jamuna par minar qila ke gumbad ka tirchha saya
paksitan se aae muhajir gende ki TuTi mala
pani mein chappu ki shap shap baaton ke TuTe TukDe
yahin kahin par hum se ojhal saraswati bhi bahti hai
jo samjhi jo aage samjhun chhalak raha hai dil ka jam
wo manzar jo KHud se baDa tha us ka ghera tumhaare nam
ye kamre ka mand ujala bahar huk papihe ki
khiDki par bundon ki dastak sansen bharti KHamoshi
puri baat nahin batlata gunge aansu ro dena
teri dharti sah na sakegi itne husn ko kho dena
tanha aur apahij buDhe tujhe na marne denge log
abhi to jiwan banjh nahin hai phir tujh ko janmenge log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.