nazr-e-ghaalib
Interesting Fact
(Based on a line from Ghalib's Ghazal- 'Phir mujhe Diida-e-tar yaad aaya) (March, 1990)
kaif-e-jāñ nūr-e-basar yaad aayā
arsa-e-harf-o-hunar yaad aayā
dasht-e-imkān kī pahnā.ī meñ
ḳhaak bar-sar the ki ghar yaad aayā
luTte luTte bhī dil-e-mahzūñ ko
dard kā raḳht-e-safar yaad aayā
jab gañvā aa.e matā-e-hastī
tab hameñ jaañ kā zarar yaad aayā
bazm-e-jānāñ hī sahī bazm-e-ḳhayāl
dil kā sannāTā magar yaad aayā
shab-e-mahjūrī meñ hañgām-e-nazā.a
matl-e-nūr-e-sahar yaad aayā
phir bujhā diip koī palkoñ par
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
kaun māñge hai shabistān-e-visāl
bas ik āshufta-nazar yaad aayā
phir huā dil meñ ḳhayāloñ kā hujūm
phir hameñ silk-e-guhar yaad aayā
kaif-e-jaan nur-e-basar yaad aaya
arsa-e-harf-o-hunar yaad aaya
dasht-e-imkan ki pahnai mein
KHak bar-sar the ki ghar yaad aaya
luTte luTte bhi dil-e-mahzun ko
dard ka raKHt-e-safar yaad aaya
jab ganwa aae mata-e-hasti
tab hamein jaan ka zarar yaad aaya
bazm-e-jaanan hi sahi bazm-e-KHayal
dil ka sannaTa magar yaad aaya
shab-e-mahjuri mein hangam-e-nazaa
matl-e-nur-e-sahar yaad aaya
phir bujha dip koi palkon par
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
kaun mange hai shabistan-e-visal
bas ek aashufta-nazar yaad aaya
phir hua dil mein KHayalon ka hujum
phir hamein silk-e-guhar yaad aaya
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 126)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.