nazr-e-ghaalib
Interesting Fact
(With apologies to the soul of Ghalib) (Monthly: Masarrat, Patna, July 1969)
vaa.e taqdīr maiñ gadhā na huā
ham-navā krishn chandr kā na huā
master kī palak jhapakte hī
hāzirī de ke maiñ ravāna huā
vahī aayā savāl parche meñ
ek din kā bhī jo paḌhā na huā
khel bhī ham sake na jī bhar ke
khelne kā bhī haq adā na huā
muddatoñ apne master jī se
madrase meñ bhī sāmnā na huā
maiñ vo daadā huuñ sab ko maar ke bhī
aaj tak qābil-e-sazā na huā
'kaif' maidān-e-sher-goī meñ
koī 'ġhālib' sā dūsrā na huā
wae taqdir main gadha na hua
ham-nawa krishn chandr ka na hua
master ki palak jhapakte hi
haziri de ke main rawana hua
wahi aaya sawal parche mein
ek din ka bhi jo paDha na hua
khel bhi hum sake na ji bhar ke
khelne ka bhi haq ada na hua
muddaton apne master ji se
madrase mein bhi samna na hua
main wo dada hun sab ko mar ke bhi
aaj tak qabil-e-saza na hua
'kaif' maidan-e-sher-goi mein
koi 'ghaalib' sa dusra na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.