nazr-e-iqbaal
jahāñ meñ misl-e-alī apnā naam paidā kar
''dayār-e-ishq meñ apnā maqām paidā kar''
sabaq ye siikh alī kī ḳhamoshiyoñ se zarā
''sukūt-e-lāla-o-gul se kalām paidā kar''
alī vo hai jo ġharībī meñ bhī amiir rahā
''ḳhudī na bech ġharībī meñ naam paidā kar''
mohabbatoñ ke bahut jaam tū ne baḳhshe haiñ
faroġh-e-ishq-e-alī kā bhī jaam paidā kar
tū shahr-e-ilm ke dar kā faqīr hai to 'adīl'
''nayā zamāna na.e sub.h-o-shām paidā kar''
jahan mein misl-e-ali apna nam paida kar
dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar
sabaq ye sikh ali ki KHamoshiyon se zara
sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar
ali wo hai jo gharibi mein bhi amir raha
KHudi na bech gharibi mein nam paida kar
mohabbaton ke bahut jam tu ne baKHshe hain
farogh-e-ishq-e-ali ka bhi jam paida kar
tu shahr-e-ilm ke dar ka faqir hai to 'adil'
naya zamana nae subh-o-sham paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.