nazr-e-maulana hasrat-mohani
mar jā.eñge zālim kī himāyat na kareñge
ahrār kabhī tark-e-rivāyat na kareñge
kyā kuchh na milā hai jo kabhī tujh se milegā
ab tere na milne kī shikāyat na kareñge
shab biit ga.ī hai to guzar jā.egā din bhī
har lahza jo guzrī vo hikāyat na kareñge
ye faqr dil-e-zār kā ivazāna bahut hai
shāhī nahīñ māñgeñge vilāyat na kareñge
ham shaiḳh na leader na musāhib na sahāfī
jo ḳhud nahīñ karte vo hidāyat na kareñge
mar jaenge zalim ki himayat na karenge
ahrar kabhi tark-e-riwayat na karenge
kya kuchh na mila hai jo kabhi tujh se milega
ab tere na milne ki shikayat na karenge
shab bit gai hai to guzar jaega din bhi
har lahza jo guzri wo hikayat na karenge
ye faqr dil-e-zar ka iwazana bahut hai
shahi nahin mangenge wilayat na karenge
hum shaiKH na leader na musahib na sahafi
jo KHud nahin karte wo hidayat na karenge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 708)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.