nazr-e-watan
nazr-e-vatan phir ai dil dīvāna chāhiye
phir har qadam pe sajda-e-shukrāna chāhiye
phir sar-zamīñ vatan kī hai nazroñ ke sāmne
phir lab pe ek nāra-e-mastāna chāhiye
bachpan kī yaad letī hai phir dil meñ chuTkiyāñ
phir be-ḳhudī ba-hujjat-e-tiflāna chāhiye
barsoñ ke ba.ad aa.e haiñ bāġh-e-vatan meñ ham
phir har kalī ko sajda-e-mastāna chāhiye
kohsār sabz-posh nazar aa.e duur se
phir lab pe chaar bait kā afsāna chāhiye
jis kūche meñ huiiñ kabhī rusvā.iyāñ nasīb
us kā tavāf bā-dil-e-dīvāna chāhiye
baḳhshā thā jis ne pahle-pahal dil ko dard-e-ishq
phir us ke dar pe sajda-e-shukrāna chāhiye
phir dil ko ho yaqīñ na kisī ke visāl kā
phir vāqi.a ba-sūrat-e-afsāna chāhiye
phir shauq se mileñge kisī gul-ezār se
phir lab pe shor-e-bulbul-e-mastāna chāhiye
jhūlā jhūlā.eñge kisī mast-e-shabāb ko
raqsāñ fazā meñ phir mai-o-mai-ḳhāna chāhiye
paa.e talab ko vādī-e-parvīñ hai nīm-gām
phir aarzū ko manzil-e-jānāna chāhiye
phir ḳhirman sukūñ ko haiñ darkār bijliyāñ
phir be-hijāb jalva-e-jānāna chāhiye
phir zauq-e-mai-kashī ko hai me.arāj kī talab
kausar kā baada chāñd kā paimāna chāhiye
phir shauq ban ke dil meñ dhaḌaktī hai zindagī
phir jumbish-e-tabassum-e-jānāna chāhiye
phir sīna-e-umīd meñ raqsāñ hai barq-e-tūr
phir pursish mazāq kalīmāna chāhiye
bālā-e-koh sāya-e-abr-e-bahār meñ
parvīn-o-māhtāb kā kāshāna chāhiye
phir us harīm-e-nūr ke āġhosh-e-nāz meñ
ik gul-kada ba-rañg-e-parī-ḳhāna chāhiye
phir abr-o-bāġh-o-nik.hat-o-gul ke hujūm meñ
sham.a o sarv o bāda-o-paimāna chāhiye
phir us kī chashm-e-mast pe gesū hoñ pur-fishāñ
phir abr-e-shām-gūñ sar-e-mai-ḳhāna chāhiye
phir chāñdnī meñ dāman-e-dariyā ye ai nadīm
raqs-e-sharāb-o-gardish-e-paimāna chāhiye
josh-e-tarab ne hashr sā dil meñ kiyā bapā
phir be-ḳhudī ko girya-e-mastāna chāhiye
'aḳhtar' vatan meñ aa ke khulā hai ye husn-e-rāz
is muḳhtasar sī umr meñ kyā kyā na chāhiye
nazr-e-watan phir ai dil diwana chahiye
phir har qadam pe sajda-e-shukrana chahiye
phir sar-zamin watan ki hai nazron ke samne
phir lab pe ek nara-e-mastana chahiye
bachpan ki yaad leti hai phir dil mein chuTkiyan
phir be-KHudi ba-hujjat-e-tiflana chahiye
barson ke baad aae hain bagh-e-watan mein hum
phir har kali ko sajda-e-mastana chahiye
kohsar sabz-posh nazar aae dur se
phir lab pe chaar bait ka afsana chahiye
jis kuche mein huin kabhi ruswaiyan nasib
us ka tawaf ba-dil-e-diwana chahiye
baKHsha tha jis ne pahle-pahal dil ko dard-e-ishq
phir us ke dar pe sajda-e-shukrana chahiye
phir dil ko ho yaqin na kisi ke visal ka
phir waqia ba-surat-e-afsana chahiye
phir shauq se milenge kisi gul-ezar se
phir lab pe shor-e-bulbul-e-mastana chahiye
jhula jhulaenge kisi mast-e-shabab ko
raqsan faza mein phir mai-o-mai-KHana chahiye
pae talab ko wadi-e-parwin hai nim-gam
phir aarzu ko manzil-e-jaanana chahiye
phir KHirman sukun ko hain darkar bijliyan
phir be-hijab jalwa-e-jaanana chahiye
phir zauq-e-mai-kashi ko hai mearaj ki talab
kausar ka baada chand ka paimana chahiye
phir shauq ban ke dil mein dhaDakti hai zindagi
phir jumbish-e-tabassum-e-jaanana chahiye
phir sina-e-umid mein raqsan hai barq-e-tur
phir pursish mazaq kalimana chahiye
baala-e-koh saya-e-abr-e-bahaar mein
parwin-o-mahtab ka kashana chahiye
phir us harim-e-nur ke aaghosh-e-naz mein
ek gul-kada ba-rang-e-pari-KHana chahiye
phir abr-o-bagh-o-nikhat-o-gul ke hujum mein
shama o sarw o baada-o-paimana chahiye
phir us ki chashm-e-mast pe gesu hon pur-fishan
phir abr-e-sham-gun sar-e-mai-KHana chahiye
phir chandni mein daman-e-dariya ye ai nadim
raqs-e-sharab-o-gardish-e-paimana chahiye
josh-e-tarab ne hashr sa dil mein kiya bapa
phir be-KHudi ko girya-e-mastana chahiye
'aKHtar' watan mein aa ke khula hai ye husn-e-raaz
is muKHtasar si umr mein kya kya na chahiye
- Book : Kulliyat-e-Akhtar shirani (Pg. 18)
- Author : Gopal Mitta
- Publication : Modern Publishing House (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.