nazrana
tum pareshān na ho, bāb-e-karam vā na karo
aur kuchh der pukārūñgā chalā jā.ūñgā
usī kūche meñ jahāñ chāñd ugā karte haiñ
shab-e-tārīk guzārūñgā, chalā jā.ūñgā
rāsta bhuul gayā, yā yahī manzil hai mirī
koī laayā hai ki ḳhud aayā huuñ ma.alūm nahīñ
kahte haiñ husn kī nazreñ bhī hasīñ hotī haiñ
maiñ bhī kuchh laayā huuñ, kyā laayā huuñ ma.alūm nahīñ
yuuñ to jo kuchh thā mire paas maiñ sab bech aayā
kahīñ in.aam milā, aur kahīñ qīmat bhī nahīñ
kuchh tumhāre liye āñkhoñ meñ chhupā rakkhā hai
dekh lo aur na dekho to shikāyat bhī nahīñ
ek to itnī hasīñ dūsre ye ārā.ish
jo nazar paḌtī hai chehre pe Thahar jaatī hai
muskurā detī ho rasman bhī agar mahfil meñ
ik dhanak TuuT ke sīnoñ meñ bikhar jaatī hai
garm bosoñ se tarāshā huā nāzuk paikar
jis kī ik aañch se har ruuh pighal jaatī hai
maiñ ne sochā hai ki sab sochte hoñge shāyad
pyaas is tarah bhī kyā sāñche meñ Dhal jaatī hai
kyā kamī hai jo karogī mirā nazrāna qubūl
chāhne vaale bahut, chaah ke afsāne bahut
ek hī raat sahī garmī-e-hañgāma-e-ishq
ek hī raat meñ jal marte haiñ parvāne bahut
phir bhī ik raat meñ sau tarah ke moḌ aate haiñ
kaash tum ko kabhī tanhā.ī kā ehsās na ho
kaash aisā na ho ghere rahe duniyā tum ko
aur is tarah ki jis tarah koī paas na ho
aaj kī raat jo merī hī tarah tanhā hai
maiñ kisī tarah guzārūñgā chalā jā.ūñgā
tum pareshān na ho, bāb-e-karam vā na karo
aur kuchh der pukārūñgā chalā jā.ūñgā
tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo
aur kuchh der pukarunga chala jaunga
usi kuche mein jahan chand uga karte hain
shab-e-tarik guzarunga, chala jaunga
rasta bhul gaya, ya yahi manzil hai meri
koi laya hai ki KHud aaya hun malum nahin
kahte hain husn ki nazren bhi hasin hoti hain
main bhi kuchh laya hun, kya laya hun malum nahin
yun to jo kuchh tha mere pas main sab bech aaya
kahin inam mila, aur kahin qimat bhi nahin
kuchh tumhaare liye aankhon mein chhupa rakkha hai
dekh lo aur na dekho to shikayat bhi nahin
ek to itni hasin dusre ye aaraish
jo nazar paDti hai chehre pe Thahar jati hai
muskura deti ho rasman bhi agar mahfil mein
ek dhanak TuT ke sinon mein bikhar jati hai
garm boson se tarasha hua nazuk paikar
jis ki ek aanch se har ruh pighal jati hai
main ne socha hai ki sab sochte honge shayad
pyas is tarah bhi kya sanche mein Dhal jati hai
kya kami hai jo karogi mera nazrana qubul
chahne wale bahut, chah ke afsane bahut
ek hi raat sahi garmi-e-hangama-e-ishq
ek hi raat mein jal marte hain parwane bahut
phir bhi ek raat mein sau tarah ke moD aate hain
kash tum ko kabhi tanhai ka ehsas na ho
kash aisa na ho ghere rahe duniya tum ko
aur is tarah ki jis tarah koi pas na ho
aaj ki raat jo meri hi tarah tanha hai
main kisi tarah guzarunga chala jaunga
tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo
aur kuchh der pukarunga chala jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.