nekiyon se Khaali shahr
agar sardiyoñ kī kisī raat ko
koī bhūkā gadāgar
mire ghar pe āvāz de
us ko roTī kā TukḌā na dūñgā
jhulastī huī saḳht dopahar meñ
koī be-kas musāfir
kahīñ pyaas se gir paḌe
us ko paanī kā qatra na dūñgā
mirā koī ham-sāya mulk-e-adam ko sidhāre
to us ke janāze ko kandhā na dūñgā
kisī ne mirī be-hisī kā sabab mujh se pūchā
to us se kahūñgā
mire shahr meñ jis qadar nekiyāñ thiiñ
vo ik shaḳhs kī bevafā.ī pe ro kar
kahīñ āsmānoñ meñ gum ho ga.ī haiñ
agar sardiyon ki kisi raat ko
koi bhuka gadagar
mere ghar pe aawaz de
us ko roTi ka TukDa na dunga
jhulasti hui saKHt dopahar mein
koi be-kas musafir
kahin pyas se gir paDe
us ko pani ka qatra na dunga
mera koi ham-saya mulk-e-adam ko sidhaare
to us ke janaze ko kandha na dunga
kisi ne meri be-hisi ka sabab mujh se pucha
to us se kahunga
mere shahr mein jis qadar nekiyan thin
wo ek shaKHs ki bewafai pe ro kar
kahin aasmanon mein gum ho gai hain
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 457)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.