nelson mandela ke nam
ai mañdela tirī bebāk qayādat ko salām
sach hai insān kī tauqīr baḌhā dī tū ne
tā-abad yaad rahegī ye misālī paikār
qil.a-e-zulm kī buniyād hilā dī tū ne
ye tirī jehd-e-musalsal ye tirā azm-e-samīm
sham.a tūfān-e-havādis meñ jalā dī tū ne
aaj africa ke sab pīr-o-javāñ haiñ bedār
qismat-e-ḳhufta ġhulāmoñ kī jagā dī tū ne
zor-e-bāzū ne tire aaj baḌā kaam kiyā
gardan-e-ḳhvājgī pal-bhar meñ jhukā dī tū ne
jo thī insān pe insāñ ke sitam kī buniyād
past-o-bālā kī vo tafrīq miTā dī tū ne
tū ne shāhīñ se mamūle ko laḌāyā ai dost
ḳhaak meñ haibat-e-afrang milā dī tū ne
ai mire mard-e-mujāhid tirī jur.at ke nisār
rang aur nasl kī dīvār girā dī tū ne
dekh hai vaqt kī maujoñ meñ ravānī tujh se
zinda hai azmat-e-insāñ kī kahānī tujh se
ai mandela teri bebak qayaadat ko salam
sach hai insan ki tauqir baDha di tu ne
ta-abad yaad rahegi ye misali paikar
qila-e-zulm ki buniyaad hila di tu ne
ye teri jehd-e-musalsal ye tera azm-e-samim
shama tufan-e-hawadis mein jala di tu ne
aaj africa ke sab pir-o-jawan hain bedar
qismat-e-KHufta ghulamon ki jaga di tu ne
zor-e-bazu ne tere aaj baDa kaam kiya
gardan-e-KHwajgi pal-bhar mein jhuka di tu ne
jo thi insan pe insan ke sitam ki buniyaad
past-o-baala ki wo tafriq miTa di tu ne
tu ne shahin se mamule ko laDaya ai dost
KHak mein haibat-e-afrang mila di tu ne
ai mere mard-e-mujahid teri jurat ke nisar
rang aur nasl ki diwar gira di tu ne
dekh hai waqt ki maujon mein rawani tujh se
zinda hai azmat-e-insan ki kahani tujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.