nemul-badal
mujhe ma.alūm hai ki kuchh na badlegā
na shāḳh-e-hijr par āsār ā.eñge ḳhizāoñ ke
ḳhayāloñ ke samundar meñ na kuchh tabdīlī aa.egī
na kirdāroñ ke roz o shab meñ koī farq aa.egā
magar in nazmoñ ġhazloñ kī kahānī aur gītoñ kī
aatī jaatī lahroñ se
ye merā ḳhushk sāhil
sairāb to hotā rahe
mujh ko mere hone kā ehsās to hotā rahe
mujhe malum hai ki kuchh na badlega
na shaKH-e-hijr par aasar aaenge KHizaon ke
KHayalon ke samundar mein na kuchh tabdili aaegi
na kirdaron ke roz o shab mein koi farq aaega
magar in nazmon ghazlon ki kahani aur giton ki
aati jati lahron se
ye mera KHushk sahil
sairab to hota rahe
mujh ko mere hone ka ehsas to hota rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.