naya sal
nayā saal phir aa gayā dosto
na.e saal kā ḳhair maqdam kareñ
paḌhā.ī kā ham azm-e-mohkam kareñ
buland kāmyābī kā parcham kareñ
nayā saal phir aa gayā dosto
na.e hausle hoñ na.e valvale
na.ī koshisheñ hoñ na.e silsile
hai duniyā sabhī sukh ke dāman tale
nayā saal phir aa gayā dosto
ḳhalā.ī musāfir kī bāteñ kareñ
samar kāmyābī ke apne chuneñ
taraqqī kī rāhoñ pe baḌhte raheñ
nayā saal phir aa gayā dosto
fasurda rivāyāt ko chhoḌ kar
masā.il na.e rakh ke pesh nazar
kareñge chalo sa.ī-e-shām-o-sahar
nayā saal phir aa gayā dosto
uTho parcham-e-amn le kar uTho
jiyo ḳhud bhī auroñ ko bhī jiine do
chalo to qadam sab milā kar chalo
nayā saal phir aa gayā dosto
naya sal phir aa gaya dosto
nae sal ka KHair maqdam karen
paDhai ka hum azm-e-mohkam karen
buland kaamyabi ka parcham karen
naya sal phir aa gaya dosto
nae hausle hon nae walwale
nai koshishen hon nae silsile
hai duniya sabhi sukh ke daman tale
naya sal phir aa gaya dosto
KHalai musafir ki baaten karen
samar kaamyabi ke apne chunen
taraqqi ki rahon pe baDhte rahen
naya sal phir aa gaya dosto
fasurda riwayat ko chhoD kar
masail nae rakh ke pesh nazar
karenge chalo sai-e-sham-o-sahar
naya sal phir aa gaya dosto
uTho parcham-e-amn le kar uTho
jiyo KHud bhi auron ko bhi jine do
chalo to qadam sab mila kar chalo
naya sal phir aa gaya dosto
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 128)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.