naya sal mubarak
nayā saal tum ko mubārak ho bachcho
sadā ḳhush raho tum phalo aur phūlo
ḳhudā kī ināyat rahe tum pe daa.em
hamesha raho sīdhe raste pe qaa.em
taraqqī karo ilm meñ aur hunar meñ
bulandī ho paidā tumhārī nazar meñ
ġharīboñ kī imdād karte raho tum
dam un kī mohabbat kā bharte raho tum
raho tum hamesha qavī aur tavānā
zamāna pukāre tumheñ kah ke daanā
jo bigḌe bhī hoñ kaam un ko sambhālo
kabhī aaj kā kaam kal par na Taalo
bano nek nekī tumhārā chalan ho
bhalā.ī kī dhun meñ hamesha magan ho
raho sukh se daa.em na dukh paas aa.e
ḳhudā tum ko bīmāriyoñ se bachā.e
duā hai ye 'nayyar' kī tum naam paao
aur is saal meñ kuchh na kuchh kar dikhāo
naya sal tum ko mubarak ho bachcho
sada KHush raho tum phalo aur phulo
KHuda ki inayat rahe tum pe daem
hamesha raho sidhe raste pe qaem
taraqqi karo ilm mein aur hunar mein
bulandi ho paida tumhaari nazar mein
gharibon ki imdad karte raho tum
dam un ki mohabbat ka bharte raho tum
raho tum hamesha qawi aur tawana
zamana pukare tumhein kah ke dana
jo bigDe bhi hon kaam un ko sambhaalo
kabhi aaj ka kaam kal par na Talo
bano nek neki tumhaara chalan ho
bhalai ki dhun mein hamesha magan ho
raho sukh se daem na dukh pas aae
KHuda tum ko bimariyon se bachae
dua hai ye 'nayyar' ki tum nam pao
aur is sal mein kuchh na kuchh kar dikhao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.