naya sal
phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai
aur miTte hue maddham se nuqūsh
daur-e-māzī kī ḳhalāoñ meñ nazar aate haiñ
jaise chhoḌī huī manzil kā nishāñ
jaise kuchh duur se aatī huī āvāz-e-jaras
kaun sahme hue māyūs diyoñ ko dekhe
phir bhī ye mujh ko ḳhayāl aatā hai
kitnī nau-ḳhez ummīdoñ ko sahāre na mile
kitnī Duubī huī kashtī ko kināre na mile
zulf lahrā.ī pe sāvan kī ghaTā ban na sakī
subah hañstī rahī bujhte rahe kitne chehre
chūḌiyāñ TuuT ga.iiñ maañg ke sindūr ujḌe
god vīrān huī
naġhme taḳhlīq hue hoñT sile
kitne fan-pāroñ ke ambār lage
shāh-rāhoñ pe jalāne ke liye
āshiyāne kā tasavvur hī abhī aayā thā
bijliyāñ kauñd ga.iiñ
hiroshima chīḳh uThā
kitnā pur-haul samāñ
kitnī bhayānak tārīḳh
ye mah-o-sāl ke phaile hue jaal
phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai
roz-o-shab jaise añdhere meñ luTeroñ ke giroh
apnī tārīk kamīñ gāhoñ meñ chhap kar baiTheñ
aur dāmānda saarā hī koī
ajnabī rāhoñ se Dartā huā ghabrāyā huā
apnī koī huī manzil kī taraf jaatā ho
aur luTere ise tanhā pā kar
us ke siine kā lahū le leñ ummīdoñ ke diye bujh jaa.eñ
kaun lekin dil insāñ kī tapish chhīn sake
phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai
kitnī bārīk hai ye sub.h kī pahlī kiran
kaun jaane ki na.ī daam bhī kyā lā.egī
kaan meñ aaj bhī mānūs sadā aatī hai
vahī dollar kā tilism
vahī tahzīb-o-tamaddun ke purāne da.ave
vahī pasmāñda mamālik kī taraqqī kā fareb
vahī tārīḳh siyāsat ke purāne shātir
atomī jañg kā elaan kiyā karte haiñ
kaun lekin dil-e-insāñ kī tapish chhīn sake
irtiqā āhan-o-faulād se kis tarah ruke
TuuT jā.eñge mah-o-sāl ke phaile hue jaal
phir nayā saal dabe paañv chalā aatā hai
jaao tārīk makānoñ meñ charāġhāñ kar do
aaj zanjīr kī ik aur kaḌī TuuT ga.ī
aaj duniyā ke avaam
apne siine se lagā.e hue apnī tārīḳh
apne hāthoñ meñ na.e ahd kā farmān liye
ik na.ī raah pe baḌhte hī chale jaate haiñ
roz-o-shab jaise añdhere meñ luTeroñ ke giroh
haath bāñdhe hue qadmoñ pe jabīneñ rakh deñ
phir nayā saal dabe paañv chalā aayā hai
jaao tārīk makānoñ meñ charāġhāñ kar do
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
aur miTte hue maddham se nuqush
daur-e-mazi ki KHalaon mein nazar aate hain
jaise chhoDi hui manzil ka nishan
jaise kuchh dur se aati hui aawaz-e-jaras
kaun sahme hue mayus diyon ko dekhe
phir bhi ye mujh ko KHayal aata hai
kitni nau-KHez ummidon ko sahaare na mile
kitni Dubi hui kashti ko kinare na mile
zulf lahrai pe sawan ki ghaTa ban na saki
subah hansti rahi bujhte rahe kitne chehre
chuDiyan TuT gain mang ke sindur ujDe
god viran hui
naghme taKHliq hue honT sile
kitne fan-paron ke ambar lage
shah-rahon pe jalane ke liye
aashiyane ka tasawwur hi abhi aaya tha
bijliyan kaund gain
hiroshima chiKH uTha
kitna pur-haul saman
kitni bhayanak tariKH
ye mah-o-sal ke phaile hue jal
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
roz-o-shab jaise andhere mein luTeron ke giroh
apni tarik kamin gahon mein chhap kar baiThen
aur damanda sara hi koi
ajnabi rahon se Darta hua ghabraya hua
apni koi hui manzil ki taraf jata ho
aur luTere ise tanha pa kar
us ke sine ka lahu le len ummidon ke diye bujh jaen
kaun lekin dil insan ki tapish chhin sake
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
kitni barik hai ye subh ki pahli kiran
kaun jaane ki nai dam bhi kya laegi
kan mein aaj bhi manus sada aati hai
wahi dollar ka tilism
wahi tahzib-o-tamaddun ke purane dawe
wahi pasmanda mamalik ki taraqqi ka fareb
wahi tariKH siyasat ke purane shatir
atomi jang ka elan kiya karte hain
kaun lekin dil-e-insan ki tapish chhin sake
irtiqa aahan-o-faulad se kis tarah ruke
TuT jaenge mah-o-sal ke phaile hue jal
phir naya sal dabe panw chala aata hai
jao tarik makanon mein charaghan kar do
aaj zanjir ki ek aur kaDi TuT gai
aaj duniya ke awam
apne sine se lagae hue apni tariKH
apne hathon mein nae ahd ka farman liye
ek nai rah pe baDhte hi chale jate hain
roz-o-shab jaise andhere mein luTeron ke giroh
hath bandhe hue qadmon pe jabinen rakh den
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
jao tarik makanon mein charaghan kar do
- Book : Aina Khane (Pg. 82)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.