sal-e-nau mubarak
mubārak mubārak nayā saal sab ko
na chāhā thā ham ne tū ham se judā ho
magar kis ne rokā hai bahtī havā ko
jo ham chāhte haiñ vo kaise bhalā ho
ai jaate baras tujh ko sauñpā ḳhudā ko
mubārak mubārak nayā saal sab ko
mubārak ghaḌī meñ ye ham ahd kar leñ
ba-sad-shān ham zindagī meñ sañvar leñ
guloñ kī tarah gulistāñ meñ nikhar leñ
baneñ ham bhī sūraj gagan meñ ubhar leñ
mubārak mubārak nayā saal sab ko
añdheroñ ne luuTī ujāloñ kī daulat
uḌā le gayā vaqt ik ḳhvāb-e-rāhat
na lauTegī biitī huī koī saa.at
jo ab bhī na jaage to hogī qayāmat
mubārak mubārak nayā saal sab ko
umīdeñ haiñ rāheñ azā.em savārī
ḳhabar de rahī hai ye bād-e-bahārī
mahaktī huī manzileñ pyārī pyārī
ki sadiyoñ se taktī haiñ rāheñ hamārī
mubārak mubārak nayā saal sab ko
mubārak mubārak nayā saal sab ko
mubarak mubarak naya sal sab ko
na chaha tha hum ne tu hum se juda ho
magar kis ne roka hai bahti hawa ko
jo hum chahte hain wo kaise bhala ho
ai jate baras tujh ko saunpa KHuda ko
mubarak mubarak naya sal sab ko
mubarak ghaDi mein ye hum ahd kar len
ba-sad-shan hum zindagi mein sanwar len
gulon ki tarah gulistan mein nikhar len
banen hum bhi suraj gagan mein ubhar len
mubarak mubarak naya sal sab ko
andheron ne luTi ujalon ki daulat
uDa le gaya waqt ek KHwab-e-rahat
na lauTegi biti hui koi saat
jo ab bhi na jage to hogi qayamat
mubarak mubarak naya sal sab ko
umiden hain rahen azaem sawari
KHabar de rahi hai ye baad-e-bahaari
mahakti hui manzilen pyari pyari
ki sadiyon se takti hain rahen hamari
mubarak mubarak naya sal sab ko
mubarak mubarak naya sal sab ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.