Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sal-e-nau

Ali Sardar Jafri

sal-e-nau

Ali Sardar Jafri

ye kis ne phone pe sāl-e-nau tahniyat mujh ko

tamannā raqs kartī hai taḳhayyul gungunātā hai

tasavvur ik na.e ehsās jannat meñ le aayā

nigāhoñ meñ koī rañgīn chehra muskurātā hai

jabīñ chhūT paḌtī hai falak ke māh-pāroñ par

ziyā phailī huī hai saarā aalam jagmagātā hai

shafaq ke nuur se raushan haiñ mehrābeñ fazāoñ

surayyā jabīñ zohra aariz timtimātā hai

purāne saal ThiThurī huī parchhā.iyāñ simTīñ

na.e din nayā sūraj ufuq par uThtā aatā hai

zamīñ ne phir na.e sar se nayā raḳht-e-safar bāñdhā

ḳhushī meñ har qadam par āftāb āñkheñ bichhātā hai

hazāroñ ḳhvāhisheñ añgḌā.iyāñ letī haiñ siine meñ

jahān-e-ārzū zarra zarra gungunātā hai

umīdeñ Daal kar āñkhoñ meñ āñkheñ muskurātī haiñ

zamāna jumbish-e-mizhgāñ se afsāne sunātā hai

masarrat ke javāñ mallāh kashtī le ke nikle haiñ

ġhamoñ ke nā-ḳhudāoñ safīna Dagmagātā hai

ḳhushī mujh ko bhī hai lekin maiñ ye mahsūs kartā huuñ

masarrat ke is ā.īñe meñ ġham bhī jhilmilātā hai

hamāre daur-e-mahkūmī muddat ghaTtī jaatī hai

ġhulāmī ke zamāne meñ izāfa hotā jaatā hai

yahī andāz gar baaqī haiñ apnī sust-gāmī ke

na jaane aur kitne saal ā.eñge ġhulāmī ke

ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko

tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai

tasawwur ek nae ehsas ki jannat mein le aaya

nigahon mein koi rangin chehra muskuraata hai

jabin ki chhuT paDti hai falak ke mah-paron par

ziya phaili hui hai sara aalam jagmagata hai

shafaq ke nur se raushan hain mehraben fazaon ki

surayya ki jabin zohra ka aariz timtimata hai

purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin

nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai

zamin ne phir nae sar se naya raKHt-e-safar bandha

KHushi mein har qadam par aaftab aankhen bichhata hai

hazaron KHwahishen angDaiyan leti hain sine mein

jahan-e-arzu ka zarra zarra gungunata hai

umiden Dal kar aankhon mein aankhen muskuraati hain

zamana jumbish-e-mizhgan se afsane sunata hai

masarrat ke jawan mallah kashti le ke nikle hain

ghamon ke na-KHudaon ka safina Dagmagata hai

KHushi mujh ko bhi hai lekin main ye mahsus karta hun

masarrat ke is aaine mein gham bhi jhilmilata hai

hamare daur-e-mahkumi ki muddat ghaTti jati hai

ghulami ke zamane mein izafa hota jata hai

yahi andaz gar baqi hain apni sust-gami ke

na jaane aur kitne sal aaenge ghulami ke

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri(Vol-I) (Pg. 75)
  • Author : Ali Ahmad Fatma
  • Publication : Qaumi Council Barai Farog Urdu Zaban New Delhi (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now