nida-e-taKHliq
sukūt-e-nīm-shabī meñ kisī ne dī āvāz
'na.īm' dil se nikālo na ḳhār-hā-e-ḳhalish
sukūn hai to isī iztirāb meñ kuchh hai
ġhuzār-e-shauq meñ, soz-e-talāsh meñ kuchh hai
junūñ ke jumla marāhil se tum guzar dekho
jamāl-e-fikr se ābād hai dil-e-vīrāñ
sharār-e-dil se munavvar jahān-e-fardā hai
ye kaun mujh se muḳhātib hai itnī qurbat se
ye kis ne zaḳhm ko dast-e-shifā se chheḌā hai,
isī ḳhayāl meñ gum thā ki phir sadā aa.ī
kamāl-e-arz-e-suḳhan jis ko tum samajh baiThe
vo ijz-e-fikr hai iqrār-e-be-zabānī hai
nikal ke aao zarā kūcha-e-ḳhabar dekho
har ek chāk-girebāñ har ek gard-ālūd
na qatl-gah se hirāsāñ na sañgsāroñ se
ki ek umr guzartī hai justujū karte
nazar ko tez haqīqat ko rū-ba-rū karte
bas ek tum ki tumhāre qadam nahīñ uThte
quyūd-e-asr kī zanjīr kāTne vaale
farāz-e-koh se āvāz de rahe haiñ tumheñ
payambaroñ ke maqāmāt de rahe haiñ tumheñ
ruḳh-e-sahar se haTāo ridā-e-shab lillāh
azāb-e-nār se guzro ki tauf-e-nūr karo
jigar ke daaġh se rakkho harīm-e-jāñ raushan
shuā-e-dard ko chūmo gale lagāo 'na.īm'
sar-e-vajūd jhukā.e sunā kiyā sab kuchh
tamām jism thā goyā nishāna-e-āvāz
tamām ruuh thī saame tamām ġham bedār
sukūt-e-shab meñ
sadā gūñjtī rahī pahroñ
sukut-e-nim-shabi mein kisi ne di aawaz
'naim' dil se nikalo na KHar-ha-e-KHalish
sukun hai to isi iztirab mein kuchh hai
ghuzar-e-shauq mein, soz-e-talash mein kuchh hai
junun ke jumla marahil se tum guzar dekho
jamal-e-fikr se aabaad hai dil-e-viran
sharar-e-dil se munawwar jahan-e-farda hai
ye kaun mujh se muKHatib hai itni qurbat se
ye kis ne zaKHm ko dast-e-shifa se chheDa hai,
isi KHayal mein gum tha ki phir sada aai
kamal-e-arz-e-suKHan jis ko tum samajh baiThe
wo ijz-e-fikr hai iqrar-e-be-zabani hai
nikal ke aao zara kucha-e-KHabar dekho
har ek chaak-gireban har ek gard-alud
na qatl-gah se hirasan na sangsaron se
ki ek umr guzarti hai justuju karte
nazar ko tez haqiqat ko ru-ba-ru karte
bas ek tum ki tumhaare qadam nahin uThte
quyud-e-asr ki zanjir kaTne wale
faraaz-e-koh se aawaz de rahe hain tumhein
payambaron ke maqamat de rahe hain tumhein
ruKH-e-sahar se haTao rida-e-shab lillah
azab-e-nar se guzro ki tauf-e-nur karo
jigar ke dagh se rakkho harim-e-jaan raushan
shua-e-dard ko chumo gale lagao 'naim'
sar-e-wajud jhukae suna kiya sab kuchh
tamam jism tha goya nishana-e-awaz
tamam ruh thi same tamam gham bedar
sukut-e-shab mein
sada gunjti rahi pahron
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.