Nietzsche ne kaha
vo sab parinde jo uḌ ke jaate haiñ fāsloñ meñ
kahīñ bahut duur fāsloñ meñ
so un ke baare meñ ye to sab jānte haiñ, āḳhir kahīñ koī ek yā
dūsrī jagah aisī aa hī jaatī hai, vo jahāñ thak ke baiTh jaa.eñ
vo koī mastūl yā koī banjar chaTTān hotī hai jis ko pā kar vo sochte haiñ
ki ye bhī kuchh kam nahīñ bahut hai,
magar bhalā kaun is haqīqat ko jaan kar ye gumāñ karegā ki un se aage
vahāñ kushāda fazā nahīñ, yā vo ek aisā maqām hai, jis se aage
parvāz kā kisī tarah koī imkān hī nahīñ hai
hamāre saare aziim ustād aur sab pesh-rau bhī āḳhir kahīñ pahuñch kar
Thahar ga.e the
so aisā hī mere saath hogā
so aisā hī tere saath hogā
na.e parinde to aage hī jā.eñge
magar haañ
yahī basīrat yahī yaqīñ ham meñ aur un meñ muqāble kā sabab hai
jo ham se aur hamārī salāhiyat se buland ho kar fazā kī vus.at meñ dekhtā hai
ki kuchh parinde haiñ ham se baḌh kar javāñ tavānā
aur un tavānā javāñ parindoñ ke ġhol koshāñ haiñ aaj bhī us jagah
jahāñ par ham apnī saarī salāhiyat aazmā chuke haiñ
jahāñ har ik chiiz hai samundar
jahāñ har ik chiiz hai samundar
ham ab kahāñ jaa.eñ
ye samundar
batāo kyā ham ise kabhī paar kar sakeñge
ye aarzū ab kahāñ hameñ le ke jā rahī hai
usī taraf kyuuñ
ki jis taraf jaane vaale insāniyat ke sabab jagmagāte ḳhurshīd
chhup ga.e haiñ
kabhī hamāre liye bhī shāyad yahī kahā jā.egā kisī din
ki ham ne maġhrib kī samt gahre samundaroñ meñ safar kiyā thā
umiid ye thī ki ham ko mashriq meñ ik na.ī sarzamīñ milegī
magar muqaddar ye thā ki ai dost
be-karānī se jā ke Takrā.eñ aur ham paash paash ho jaa.eñ
yā mire dost shāyad.....
wo sab parinde jo uD ke jate hain faslon mein
kahin bahut dur faslon mein
so un ke bare mein ye to sab jaante hain, aaKHir kahin koi ek ya
dusri jagah aisi aa hi jati hai, wo jahan thak ke baiTh jaen
wo koi mastul ya koi banjar chaTTan hoti hai jis ko pa kar wo sochte hain
ki ye bhi kuchh kam nahin bahut hai,
magar bhala kaun is haqiqat ko jaan kar ye guman karega ki un se aage
wahan kushada faza nahin, ya wo ek aisa maqam hai, jis se aage
parwaz ka kisi tarah koi imkan hi nahin hai
hamare sare azim ustad aur sab pesh-rau bhi aaKHir kahin pahunch kar
Thahar gae the
so aisa hi mere sath hoga
so aisa hi tere sath hoga
nae parinde to aage hi jaenge
magar han
yahi basirat yahi yaqin hum mein aur un mein muqable ka sabab hai
jo hum se aur hamari salahiyat se buland ho kar faza ki wusat mein dekhta hai
ki kuchh parinde hain hum se baDh kar jawan tawana
aur un tawana jawan parindon ke ghol koshan hain aaj bhi us jagah
jahan par hum apni sari salahiyat aazma chuke hain
jahan har ek chiz hai samundar
jahan har ek chiz hai samundar
hum ab kahan jaen
ye samundar
batao kya hum ise kabhi par kar sakenge
ye aarzu ab kahan hamein le ke ja rahi hai
usi taraf kyun
ki jis taraf jaane wale insaniyat ke sabab jagmagate KHurshid
chhup gae hain
kabhi hamare liye bhi shayad yahi kaha jaega kisi din
ki hum ne maghrib ki samt gahre samundaron mein safar kiya tha
umid ye thi ki hum ko mashriq mein ek nai sarzamin milegi
magar muqaddar ye tha ki ai dost
be-karani se ja ke Takraen aur hum pash pash ho jaen
ya mere dost shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.