nigah-e-baz-gasht
aaj thī mere muqaddar meñ ajab sā.at-e-dīd
aaj jab merī nigāhoñ ne pukārā tujh ko
merī tishna-nigāhoñ kī sadā
koī bhī sun na sakā
sirf ik tere hī dil tak ye sadā
jāgtī duniyā ke kohrām se chup-chāp guzar kar pahuñchī
sirf ik tū ne palaT kar mirī jānib dekhā
mujhe tū ne tujhe maiñ ne dekhā
aaj thī merī nigāhoñ ke muqaddar meñ ajab sā.at-e-dīd
kyā ḳhabar phir to palaT kar mirī jānib kabhī dekhe ki na dekhe lekin
ek umr ab maiñ yūñhī apnī taraf dekhte dekhūñgā tujhe
aaj thi mere muqaddar mein ajab saat-e-did
aaj jab meri nigahon ne pukara tujh ko
meri tishna-nigahon ki sada
koi bhi sun na saka
sirf ek tere hi dil tak ye sada
jagti duniya ke kohram se chup-chap guzar kar pahunchi
sirf ek tu ne palaT kar meri jaanib dekha
mujhe tu ne tujhe main ne dekha
aaj thi meri nigahon ke muqaddar mein ajab saat-e-did
kya KHabar phir to palaT kar meri jaanib kabhi dekhe ki na dekhe lekin
ek umr ab main yunhi apni taraf dekhte dekhunga tujhe
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 103)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.