night bulb
duur ek kamre meñ
night bulb jaltā hai
us kī raushnī meñ dil
dam-ba-dam pighaltā hai
merī be-ḳhudī jānāñ
mujh se baat kartī hai
is udaas kamre meñ
aur hasīn lagtī hai
kitnā gahrā rishta hai
merā is udāsī se
roz shaam aate hī
saath saath chalte haiñ
night bulb ke nīche
ek saath jalte haiñ
dur ek kamre mein
night bulb jalta hai
us ki raushni mein dil
dam-ba-dam pighalta hai
meri be-KHudi jaanan
mujh se baat karti hai
is udas kamre mein
aur hasin lagti hai
kitna gahra rishta hai
mera is udasi se
roz sham aate hi
sath sath chalte hain
night bulb ke niche
ek sath jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.